ZestMoney Se Loan Kaise Le? जेस्टमनी से लोन कैसे ले?

Zestmoney ek online loan application hai jiski help se shopping loan , instant credit ,line loan, personal loan etc other easily aap ght bethe le sakte hai. Agr aap loan lene ki talash mein hai toh Bilkul sahi article padh rhe hai ,yahan par hum aapko Zest money se Loan Kaise lete hai,

Iske baare mein step by step process btaya hua hai , aayie jante hai Zest money se Loan kaise milega.

 

ZESTMONEY LOAN APP KYA HAI ?

  • Zest money app se loan kaise le .zest money Bharat mein ek fintech company hai jiski shuruwat 2013 mein ki gyi thi . Present time mein zest money apne financial product ke taur par Bahut zyda Popular hai.
  • Zest money ko Google Play Store se download karke aap top class brand ke latest model ke smartphone, fashion, travel, education , health care etc other product easily monthly installment mein khareed sakte hai.
  • Yahan par aap Flipkart aur Amazon jaise e-commerce website par bina kisi credit card aur bina kisi debit card ke No Cost EMI par koi bhi apne manpasand ka product aasani se EMI mein khareed sakte hai.
  • Aapke khareede gye product ki payment zest money application ka use karke kiya jata hai aur phir baad mein aap Zest Money App Wallet se liye gye loan ko easily monthly installment mein bhar sakte hai.

 

ZESTMONEY SE HI LOAN KYU LE?

Zest money se loan lene ke 5 reasons agr aapko pta chal gye toh aap Jest money se loan liye Bina nhi reh sakte . Aayie jaante hai ki aapko jest money se hi loan kyu Lena hai: 

  • INTEREST RATE: zest money loan application ka use karke 0% interest rate par loan liya jaa sakte hai iske alawa yahan par kisi bhi type ka joining fees aur hidden charge bhi nhi hai.
  • CREDIT LINE LOAN: Zest money app ka use karke Rs. 200000 tak ka instant credit limit loan liya jaa sakta hai jiska istemaal kisi bhi sudden medical emergency ya phir kisi bhi need ke time mein turant kiya jaa sakta hai.
  • ONLINE AND OFFLINE STORE AVAILABLE: 
  • Zest money app ke Bharat mein maujood 10,000 se bhi zyda online store ke sath partnership hai jahan se aap koi bhi saman aasani se EMI mein khareed sakte hai.
  • Iske alawa agr aap offline saman khareedte hai toh vahan aapko 75000 se bhi zyda physical Retailor Stars dekhne ko mil jate hai jahan se aap sirf Adhaar card, Pan card aur ek selfie dekar koi bhi saaman khareed sakte hai.
  • FAST APPROVAL PROCESS: Zest money app turant loan approval karne ki suvidha deta hai jise max 3 step mein loan ke liye aavedan kiya jaa sakta hai .Loan aavedan karne ke liye khin par bhi aapko documents submit karne ki need nhi hoti pura process online hota hai iske alawa yahan par aapko kisi bhi Bank ya Finance company ke credit card ki bhi zarurat nhi padhti.

APP SATISFIED

Present time mein Zest money application ke 17 million se bhi adhik registered users hai jo ki niyamit taur par iss application ka istemaal kar rhe hai Goggle Play Store par iss application ko logo ne kaafi realise Kiya hua hai jise abhi rating 4.4 mili hui hai.

 

ZESTMONEY KAISE KAAM KARTA HAI?

  • Zest money ke madhyam se online shopping karne ke liye Bharat mein maujood e-commerce
  • Website jaise Amazon, Flipkart, Mintra, Chroma etc others 10000 se bhi zyda platform par monthly installment par koi bhi saaman khareeda jaa sakta hai.
  • Jest money loan Dene ke liye aavedak ke civi ll score aur pichhle 6 months ka bank record check karne ke baad hi Zest Money Wallet mein paise transfer karne ki suvidha deta hai.
  • Yeh inn platform ke sath milkar online EMI par samaan khareedne ke suvidha Ghar bethe uplabdh karva deta hai.
  • Loan lene ke liye applicants ko kisi bhi type ke credit card ki need nhi hoti .Zest money loan Dene ke liye nicche diye gye steps ko follow karta hai.

 

ZEST MONEY SE LOAN KAISE LE.

ZESTMONEY SE LOAN KAISE LE?

Zest money se Loan lene ke liye aapko sabse pehle Zest Money APP ko download kar lena hai .

Iske baad apni sabhi information bharkar application form ko submit kar Dena hai .Iske baad zest money Aapko loan offer krega.

Agr aapka civil score acha hai toh aise mein aapko zest money ki taraf se achi credit limit di jayegi aur agr credit score kam hai toh aise mein aapko credit limit tohri kam milegi.

 

ZESTMONEY SE LOAN LENE KE LIYE ELIGIBILITY CRITERIA

Agr aap Zest money se loan lena chahte hai toh iske liye aapko following eligibility criteria ko follow karna hoga jo iss prakar hai:

  1. Zest Money se loan lene ke liye sabse pehle Zest Money App ko Google Play Store se download karna hoga.
  2. App par registration karne ke liye aap ek Indian Naagrik hone chahiye.
  3. Aapki age 18-65 age ke beech honi chahiye.
  4. Apne Zest Money account ko verify Arne ke liye ek mobile number ki need padhegi.
  5. Aapke pass Adhaar card aur Pan card hoan zaruri hai.
  6. Iske alawa loan raashi prapat karne ke liye Bank account number aur IFSC code ki need padhegi 
  7. Iske alawa agr aap adhiktam loan le rhe hai toh aise mein Internet Banking Aur Debit card ki need bhi padhegi.

 

 

ZESTMONEY LOAN LENE KE LIYE KON KON SE DOCUMENTS KI NEED HOGI?

Zest money se loan lene ke liye Adhaar card, Pan card aur ek bank account number ke sath sath ek selfie ki need hogi.

  1. Adhaar card
  2. Pan card
  3. Bank Account Details
  4. A Selfie

 

 

ZESTMONEY LOAN KE LIYE APPLY KAISE KRE ?

Zestmoney app ke liye aavedan aapko official website ya phir Google Play Store par maujood Zest Money App par registration karke kar sakte hai .yahan Par humein aapko dono process btaye hai ki kaise aapko Official website par registration karna hai aur kaise Zest money app ka use karke Registration karna hai aayie jaante hai:

 

 

OFFICIAL WEBSITE KE MADHYAM SE

  • Sabse pehle Zest Money ki official website par jayein.
  • Iske baad apna account bnaye.
  • Ab apna mobile number aur e-mail ID dalkar verify kare.
  • Iske baad Credit Line Loan ,Pay Later option mein se kisi bhi ek ko chunege.
  • Iske baad apna full name,Date of Birth, Gender etc other information fill karke continue par click karenge .
  • Ab aapko apna adress details yahan par daalna hai.
  • Iske baad aapko apni Employment Status aur income proof other information ko submit kar lena hai.
  • Ab aap apna ek pic upload krenge.
  • Iske baad aapke civil score ke hisaab se credit limit offer ki jayegi.
  • Iske baad aapko apne Account Quick KYC karni hogi Jahan par aapko apna Adhaar card number dalkar OTP se verify karna hai.
  • Iske baad aapko apne Bank details jaise bank account number aur IFSC code etc information submit karni hai.
  • Iske Baad Zest Money Wallet mein paise transfer kar diye jaate hai. Jiska use aap Amazon, Flipkart jaise platform par koi bhi saaman khareed sakte hai .

 

 

ZEST MONEY SE LOAN KAISE LE.

  1. Zestmoney app se loan lene ke liye sabse pehle hum Google Play Store se zest money Loan application ko install karan hoga .
  2. Iske baad apna mobile number submit karke OTP dalkar verify kare.
  3. Iske baad aapko apni email ID fill karni hai
  4. Iske baad aapse kuch permission maangi jayegi toh sabhi permission score ko allow kar dena hai 
  5. Iske baad apna naam fill kre jo ki pan card par registered hai 
  6. Iske baad apne Pan card ko verify kraaye.
  7. Iske baad aapko apni personal Information jaise apna Name ,Date of Birth aur Gender select kar lena hai .
  8. Iske baad apne permanent address details bhre jahan par aap apna city pin code land mark etc Information bhrke continue par click kre 
  9. Iske baad aapke samaan apna ek selfie upload karne ka phone pay jayega Jahan par aapko apna ek photo upload kar dena hai.
  10. Iske baad aapka Civil score check kiya jayega aur aapko credit limit offer ki jayegi.
  11. Iske baad aap Home page par aa jayenge aur vahan par aapko Quick KYC par click kar lena hai jahan par adahaar card se E-KYC karni hogi .
  12. Iske baad apna account number aur IFSC code daal dena hai.
  13. Ab aapko kuch time baad loan raashi aapke bank account mein transfer kar di jaati hai.

ALSO READ -: SBI NEW CAR LOAN APPLY ONLINE | INTEREST RATE |

ZESTMONEY KYA HAI REVIEWS

agr mein apne personal experience ke baare mein batau toh maine haal hi mein Jest money ka use mobile phone khareedne ke liye kiya tha jo ki mera kaafi acha experience iss application ko dekhne ka Mila mujhe yahan par sabse acha offer toh yeh Mila ki agr aap 3 months ke liye koi saaman EMI par lete hai toh vahan par aapko kisi bhi tarah ka charge nhi dena hota hai aur voh aapko 0 interest rate par mil jata hai baaki yeh thi meri advice.

Agr Google Play Store par baat ki jaaye toh iss application ko kaafi achi rating mili hui hai aur logo ne bhi iss application par review aur rating bhi kiye hai jo ki aap yahan par jaakr dekh sakte hai.

 

ZESTMONEY PERSONAL LOAN KAISE LE ?

Zest money ke madhyam se Instant personal loan Rs. 100000 tak ka liya jaa sakta bai .Loan lene ke liye aavedak ko sabse pehle apne Hone page se Eligibility criteria check karan hoga yadi aavedak car loan approve ho jata hai toh usse aasaani se personal loan mil jata hai .Loan lene ke liye aavedak ko apna Adhaar card Pan Card,bank statement aur ek selfie ko upload karna hota hai ,iske alawa loan raashi prapat karne ke liye apni banking information submit karni hoti hai jaise hi aap sabhi information sahi sahi fill kar dete hai toh iske baad aapke bank account mein loan raashi transfer kar di jaat hai .

 

SIGNUP FOR ZEST MONEY CREDIT LIMIT

Zest Money credit limit prapat Karan boht aasan hai .credit limit prapat karne ke liye sabse pehle aapko Google Play Store se Zest Money Loan App ko install karke sign up kar lena hai aur vahan par pana mobile number daal kar verify kar lena hai.

 

ACTIVATE YOUR CREDIT LIMIT

Iske baad apni profile ko complete kr lena hai vahan par mangi gyi saari information sahi sahi fill kre aur apne KYC documents ko upload kre iske baad loan ko jma krne ke liye time limit ka option choose kre aur active credit limit par click kre.

SHOP AT ANY OF OUR MERCHANT PARTNERS 

Ab aapko mili hui credit limit ka use 1000 se bhi adhik merchant partner platform par use kar sakte hai.

BECOME ELIGIBLE FOR PERSONAL LOAN

Agr aap ek baar personal loan ke liye Eligible ho jate hai toh phir aap kisi bhi merchant partner store se shopping kar sakte hai Shopping karne ke baad aap Flexible Repayment kar sakte hai agr aap time par hi payment karte hai toh aise mein aapko credit limit bhi achi offer ki jaati hai.

AVAIL YOUR PERSONAL LOAN 

agr aap personal loan ke liye eligible ho jate ho toh aise mein aap bhi na kisi additional documents ke turant iss loan ko prapat kar sakte hai .

ZESTMONEY APP SE FLIPKART PAR SAMAN KAISE KHAREEDE?

zestmoney app se Flipkart se saaman khreedna behad aasan hai yahan par humein aapko step by step process batya hai ki kaise aap Zest Money Wallet ka use karke Flipkart se koi bhi saaman jaise smartphone, fashion, travel, education, health care etc product ko 0% interest rate par khareed sakte hai. Aayie jante hai.

  1. Sabse pehle Zest Money App ko open kre.
  2. Iske baad yahan par aapko Flipkart app ka option dekhne ko mil jayega uss par click kre 
  3. Iske baad create Voucher par click kre.
  4. Iske baad Voucher raashi ko daale jitne price ka aap saaman Lena chahte hai.
  5. Ab select EMI plan par click kre.
  6. Iske baad apne according koi bhi ek plan chune.
  7. Iske alawa agr aap baad mein EMI par saaman khreedte hai toh aapko kisi bhi tarah ka processing fees nhi dena hai.
  8. Iske baad aapko voucher milega .iske baad apko voucher pin bna Lena hai ,jab aap uss voucher ka use krenge tab aapko uski need hogi.
  9. Ab hum aapko batate hai ki aapko Flipkart par shopping kaise karn ihai Zest Money ka use karke.
  10. Sabse pehle aapne Flipkart app ko open kar lenge apne according koi bhi ek product chunege.
  11. Iske baad aap Payment Option par Gift card ke option par click krenge.
  12. Ab Aapko jo voucher number aur pin aapne Zest Money App se banaya hai use dalenge aur aasani se aapki payment successful ho jayegi.

Iss tareeke se aap bdi easily Flipkart par shopping kar sakte hai.

ZESTMONEY SE OFFLINE EMI PAR SAAMAN KAISE KHAREEDE ?

zestMoney se offline EMI par saman khareedne ke liye aap apne near kisi bhi Zest Money retailer store par jayein.

Vahan par apne adhraar card aur Pan card ko verify krva kar koi bhi electronic samaan jaise Smartphone, fridge, AC ,cooler , Laptop,TV etc other monthly installment mein khareed sakte hai .

Monthly installment par saaman khareedne le liye aapko apan bank account AUTO NACHE se jodhna hoga.

ZEST MONEY SE PERSONAL LOAN LENE PAR KITNA INTEREST RATE LGEGA?

ZESTMONEY SE PERSONAL LOAN LENE PAR KITNA INTEREST RATE LGEGA?

Zest money personal loan lene par aapko jitna loan approve hota hai uss rashi ke 20-36% Annually Bayaj dar se Interest Rate dena hota hai. Yeh aavedak ke civil score aur credit history ke hisaab se kam ya zyda hi sakta hai.

Agr aap Zest Money Loan ko time par jma karte hai toh aise mein aapke credit score dheere dheere badhne lagta hai aur baad mein aap kabhi bhi kisi bhi need ke time mein jest money ka use karne loan le sakte hai.

ZESTMONEY FEES AND CHARGES

agr aap Zest Money App se loan liya hai toh yahan par aapko kuch fees aur charges bhi Dene hote hai jo ki iss prakar hai 

‌INTEREST RATE: 12.3% -26% per annum

‌PROCESSING FEE: Nil

‌GST FEE: products par 18% GST bhi deni hoti hai

‌LATE FEE: agr aap time par loan deposit nhi kravaate toh aapko late fees jaise charges bhi Dene hote hai.

‌SERVICE FEE: agr aap pehli baar koi saman EMI par khareedte hai toh aapko 800-1000 ki service fees bhi deni hoti hai

ZEST CUSTOMER CARE NUMBER

ZEST CUSTOMER CARE NUMBER

zest money se loan lene par agr aapko kisi trh ki problem aati hai toh yahan par aapko customer support dekhne ko mil jaati hai jismein aap kabhi bhi kisi bhi problem ka solution paa sakte hai. zest money ki official website par aapko customer number iss prakar diya hue hai .

ZEST MONEY APP CUSTOMER CARE NUMBER : 6269000097

CREDIT LIMIT MISSED CALL NUMBER: 9513650707

ZEST E-MAIL ID – help@zestmoney.in 

Also Read This -:

GOOGLE PAY SE LOAN KAISE LE? GOOGLE PAY PERSONAL LOAN

STUCRED APP SE LOAN APPLY KAISE KRE ?

Amazon Pay Later Loan Kaise Le, अमेज़ॉन पैलटर लोन कैसे ले ?

Money View: Personal Loan App Se Loan Kaise Le |

About bankofloan

Check Also

TrueBalance Loan App से लोन कैसे लें? TrueBalance Loan App Review 2024

TrueBalance Loan App से लोन कैसे लें? TrueBalance Loan App Review 2024

TrueBalance Loan App TrueBalance Loan App : दोस्तो आप सभी को पता ही होगा की …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *