ADVERTISEMENT
SBI NEW CAR LOAN
ADVERTISEMENT
Aaj ke time mein har koi yeh chahta hai ki uske pass car ho , lekin ajkal ke time mein kisi ko khana hi mil jayein vhi bdi baat hai ,lekin kuch log hote hai jinki monthly income thik thik hoti hai lekin itni khaas nhi ki voh car le ske. Veh car tabhi le skte hai ,agr voh car ke liye paise save krne lge lekin ismein bhi unhe boht time lag jayega .toh aise mein voh sabhi car loan ki help se car le skte hai .toh aaj ki iss post mein hum sabko SBI NEW CAR LOAN ke bare mein btayenge .ki aap SBI NEW CAR LOAN kaise le? Aapko Loan ke liye kon kon documents ki need hogi .
FEATURES OF SBI NEW CAR LOAN
- Aapko yahan se jo car loan diya jata hai ,us car loan par aapko bahut hi kam interest rate,aur EMI dekhne ko milti hai.
- Aapko yahan se loan zyda se zyda 7 saal ke liye mil skta hai.
- Yahan par aapko life Insurance policy bhi dekhne ko mil jaati hai
- Aap iss loan ke liye Ghar bethe bethe apply kr sakte hai .
ELIGIBILITY FOR SBI NEW CAR LOAN
Features ke bare mein jaan lene ke baad aayiea hum jaan lete hai ki aapko SBI NEW CAR LOAN ko lene ke liye kon kon si Eligibility ko pura krna hota hai. yahan par yeh cheej iss baat par nirbhar karti hai ki aap kam kya krte hai ?
ADVERTISEMENT
Jaise…
- Aapki age 21 saal se lekar 65 saal ki honi chahiye
- Aap kahin par koi sarkari ya private job Karte ho
- Agar aap farming bhi karte hai toh aapko yeh loan mil skta hai
ADVERTISEMENT
INCOME
- Agar aap khin government ya Private job karte hai toh aapki pure saal ki income 3 lakh honi chahiye
- Agar aapka koi apna business hai toh aapko uss business se about 3,00,000 ka fayda hona chahiye
- Agar aap farming ke kamo mein lage hue hai ,toh aapki pure saal ki income 4 lakh honi chahiye
- Aapko aapke dwara kiye gye kami ke anusaar hi Bank ke dwara loan diya jata hai .aapko Jo Loan ki rakam nishchit ki jayegi veh inhi baaton ko dhyaan rakh k kri jayengi.
LOAN AMOUNT OF SBI NEW CAR LOAN
- Aapko yahan se loan ki raashi milegi veh iss baat par depend kregi ki aap kaisa kam krte hai. Aap government job karte ho? Aapka koi apna kam toh nhi ? Aap farming ke kam mein lge hue hai ? Aapki income ke hisaab se aap ko loan ki raashi di jayegi .
- Agr aap khin pr government ya fr Private job krte ho toh aapko aapki monthly income Ke 48 Guna loan diya jayega .
- Aur agr aapka apna business hai toh aapko aapki annual income ke 4 Guna loan diya jaa sakta hai.
- Farming ke kam mein lge hue persons ko unki annual income ke 3 Guna loan diya jata hai
INTEREST RATE OF SBI NEW CAR LOAN
- Aapko yahan se jo loan ki raashi milegi iske bare mein jaan lene ke baad ab hum jaan lete hai,ki aapko kitni Bayaj dar lagaya jayega .toh aayie Jaan lete hai…..
- Aapko yahan se interest rate 2 tarah ke dekhne ko mil jate hai ,pehle toh aap simple Bank ki website mein jaakr ya phir unki branch mein jaakr loan ke liye apply krde aur dusra aap inke app YONO par jakar apply kar skte hai .vahan pe aapko Bayaj dar kam dekhne ko milta hai .
- Agr aap simple website ya phir Bank ki branch mein jaakar loan ke liye apply karte hai toh aapko yahan se 7.75% ka Bayaj dar dekhne ko mil jata hai. Lekin agar aap YONO se loan ke liye apply krenge toh aapko 7.50% ka Bayaz dar lgaya jaye .jo ki 0.25% kam hai.
ADVERTISEMENT
SBI NEW CAR LOAN DOCUMENTS REQUIRED
- Aapko apne Bank ki statement ki zarurat bhi hogi. Yeh statement 6 months ki honi chahiye.
- Aapko apni 2 passport size photo ki zarurat hogi
- Aapko apni Identity ka proof bhi dikhana hoga
- Aapko apne address ka proof bhi dikhana hoga jiske liye aap apne electricity ke bill ki copy bhi dikha sakti hai
- Aapke pass sallery slip bhi honi chahiye ya agar aapka apna koi business hai toh aapko apne dwara bhare hue income tax ki copy bhi honi chahiye
- Aapko apne adhraar card, pan card ki zarurat bhi hogi.
TENURE RATE OF SBI NEW CAR LOAN
Aapko yahan se yeh loan kam se kam 3 saal ke liye diya jayega ,aur zyda se zyda time ke liye baat kr li jaye toh aapko yeh loan 7 saal ke liye diya jayega. Yaani SBI NEW CAR LOAN aap 3 saal se lekar 7 saal tak ke liye le skte hai .
SBI NEW CAR LOAN APPLY KAISE?
- Tenure rate ke bare mein jaan lene ke baad ab Jaan lete hai ki aapko SBI NEW CAR LOAN ke liye kaise apply de sakte hai?
- Sabse pehle aapko goggle par likhna hoga , SBI NEW CAR LOAN phir aapko sahmne jo bhi website aaye aap vahan par chal jayein
- Iske baad aapko vahan pe 2 options dekhne ko mil jate hai ,”KNOW MORE” and “APPLY KNOW” iske baad aap apni wish according choose karna hai agr aap loan ke liye apply karna chahte hai toh second option pr chle jna hai
- Agr aap loan ke liye apply karna chahte hai toh aapko aage jaakar kuch basic information deni hogi
- Phir agr aap SBI NEW CAR LOAN ke liye Eligible hote hai , toh aapko yeh loan mil jayega
- Aapko Bank se phone bhi aayenge .
- And aap iss tarah loan ke liye apply kar skte hai.
Toh dosto aaj ki humari iss post mein itna hi agr toh aapko humari iss post mein kuch problem aayi ho ya toh phir aapka koi question ho toh aap humein neeche puch sakte hai .toh aaj humnein Jana ki aap kis tarah se SBI NEW CAR LOAN ke liye apply kar sakte hai ?
Aapko Loan pr kitna rate interest lgaya jayega ? Apko loan kitne time ke liye diya jayega. Toh dosto agr toh aapko humari information achi lagi toh aap humari iss post ko share kar de .tab tak ke liye milte hai next post mein ……….
mdnayyaralam91@gmail.com