SBI LIFE INSURANCE KYA HAI |SBI LIFE INSURANCE DETAILS, APPLY , POLICY

Present time mein aapne life insurance ke baare mein zarur suna hoga ,aaj ki iss aritcle ke madhyam se hum aapko SBI BANK dwara diye jaane vale Life Insurance ke bare mein information denge .jaise ki SBI Bank Life Insurance kya hai ,SBI LIFE INSURANCE mein aapko kya kya suvidhaaye milti hai ,iske alawa life Insurance krana kyu zaruri hai etc other information ke baare mein bhi detail mein batayange.

Also Read -: Fibe Loan App Se Loan Kaise Le | Interest Rate | Review |

SBI LIFE INSURANCE KYA HAI

Vese toh har koi janta hai life insurance ke bare mein lekin phir bhi aapki information ke liye bta du life insurance ek aisi policy hoti hai jo ki kisi ke marne ke baad ya phir anuvaashik viklangta hone ke kaaran uske parivaar ko voh Bima company financial help deti hai.

SBI life insurance, Bharatiya State Bank SBI Bharat mein sabse trustworthy life Bima companies mein se ek hai , jise October 2000 mein shaamil kiya gya tha aur March 2001 mein Bhartiya Bima niyamak aur vikaas pradhikaran (IRDAI) ke sath registered kiya gya tha . Present time mein SBI bank kyi types ke life insurance pradaan karta hai jinme se kuch UNIT LINKES PLAN ,CHILD EDUCATION PLAN ,PENSION PLAN ,TERM INSURANCE PLAN ,ANDOMENT PLAN AUR GROUP PLAN ETC.

Also Read -: PaySense: Personal Loan App Se Loan Kaise Le | Interest Rate |

SBI LIFE INSURANCE ONLINE APPLY KAISE KRE

SBI LIFE INSURANCE ONLINE APPLY KAISE KRE

Present time mein daily life boht zyda typical ho gyi hai ,aise mein humare sath kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai , jaise ki kabhi aapke aapke ghr aa smaan choti ho jata hai , ya aaapka accident ho jata hai ya aapki anchahi death ho jaati hai aise mein vyakti ko baad mein boht problems dekhne ko milti hai ,mukhya problem paiso ki hoti hai ,aise mein jis vyakti ne pehle hi jeewan bima budhimaani se praapat kar liya ho , use baad mein zyda fark nhi padhta ,life insurance mein ,aapko apne 1 mahine mein uss company ko ek nishchit raashi ka bhugtaan karan hota hai jiska aapne bima kiya ho aur agr aapke sath kabhi koi accident ho jata hai toh voh company aapko voh raashi deti hai jiska aapne bima karvaya hai.

For example agr aapne 5-6 saal ke liye koi bima liya hai toh aapko uss bima company ko har mahine kuch raashi ka bhugtaan karan hoga lekin agr 5-6 saal se pehle aapka accident ho jata hai toh yeh company aapko utni hi rakam deti hai ,aise mein uss vyakti ko kaafi fayda hota hai toh abhi hum aapko toh abhi hum aapko iss article ke madhyam se SBI Bank dwara diye jane vale LIFE INSURANCE KE bare mein btane jaa rhe hai toh aapse request hai ki aap iss article ko aaj tak padhkar zarur jaye taaki agr aapke mann mein SBI LIFE INSURANCE se juda koi svaal hai toh voh sare svaal ka answer aapko mil jaye .

Also Read -: PUNJAB NATIONAL BANK HOME LOAN | INTEREST RATE 2022

DIFFERENT TYPES OF SBI LIFE INSURANCE

DIFFERENT TYPES OF SBI LIFE INSURANCE

SBI Bank ki aur se aapko Jo life insurance diye jayenge voh mukhya roop se teen type ki hoti hai ,jo customers ki need ko dekhte hue bnaye gye hai .SBI Bank ke Life Insurance ke type following hai

  1. Individual Plans
  2. Group Plans
  3. Online Plans

Also Read -: CANARA BANK GOLD LOAN 2022: CANARA BANK GOLD LOAN KAISE LE?INTEREST RATE

SBI INSURANCE INDIVIDUAL PLANS

SBI jeewan Bima vayaktigat yojna ke naam se hi pta chalta hai ki yeh ek vyakti ke liye bahut laabhkaari Bima Yojana hai .yojna ke Antargat kyi saari bima policy aati hai .jo iss prakar hai.

  1. Protecting Plans
  2. Saving Plans
  3. ULIP’s Plans
  4. Child Plans
  5. Pension plans
  6. Money Back Income Plans

Also Read -: CASHe Personal Loan App Se Loan Kaise Le | Review | Interest |

REQUIRED DOCUMENTS FOR SBI LIFE INSURANCE

SBI BANK Life Insurance lene ke liye following documents ki need hogi jo iss prakar hai.

  • ‌Adhaar card
  • ‌Pan card
  • ‌Ek SBI ka saving account
  • ‌Mobile no.
  • ‌Latest colored passport size photograph
  • ‌Income Proof
  • ‌Birth Certificate

Also Read -: Sbi Bank Personal Loan Apply Online For 20 Lakhs | Review

ELIGIBILITY FOR SBI LIFE – INSURANCE

SBI BANK BIMA POLICY ko lene ke liye aapko kewal ek hi eligibility puri karni hogi ,voh yeh hai aapki age 18-65 years ke beech honi chahiye aur aap ek Indian hone chahiye.

Also Read -: Branch Personal Loan App Se Loan Kaise Le | Review | Interest

HOW TO APPLY SBI LIFE- INSURANCE

STEP 1. Sabse pehle SBI ki official website par Jaye.

STEP 2 . Iske baad Life Insurance par click kre

STEP 3. Ab apne according Bima policy ko chune

STEP 4. Bima policy chunne ke baad Application form ko submit kre

STEP 5. Iske baad SBI Bank ki traf se customer care executive aapke ghr par aayega aur phir voh aapko bima policy ke bare mein jaankari uplabhdh karvayega , jo policy aapko pasand aati hai ,usko chunne ke baad apne KYC documents jaise ADHAAR card , Pan card etc submit krane ke turant baad SBI Bank Life Insurance Policy ko active kar sakte hai .

Also Read -: TrueBalance- Personal Loan App Se Loan Kaise Le | Review |

OFFLINE: SBI ki apni near branch mein jayein , Bank manager se Bima yojna ke Antargat information prapat kre, jo yojna pasand aaye use chune , iske baad apne documents ko submit kre .ab kuch time wait karne ke baad Branch aapka life insurance jaari karne ka process shuru kar dega

Also Read -: HDFC BANK PERSONAL LOAN KAISE MILTA HAI -HDFC BANK PERSONAL LOAN KAISE LE 

SBI LIFE ONLINE PLANS

SBI LIFE INSURANCE vibhin jeewan bima jojnao ke liye online apply karne ke liye atyaadhunik platform pradan karta hai jo ki iss prakar hai .

  • ‌ SBI LIFE -eshield
  • ‌SBI LIFE – ewealth Insurance
  • ‌SBI LIFE- eincome shield
  • ‌SBI LIFE. – Annuity Plus
  • ‌SBI LIFE – Kalyan ULIP Plus
  • ‌SBI LIFE – Capassure Gold
  • ‌SBI LIFE – Gaurav Jeewan
  • ‌SBI LIFE – Pradhan Mantri Jeewan Jyoti Bima Yojana
  • ‌SBI LIFE – Sampooran Cancer Suraksha
  • ‌SBI LIFE – Poorna Suraksha
  • ‌SBI LIFE -. Sampooran Suraksha
  • ‌SBI LIFE – Swarna Jeevan

Also Read -: RBL BANK LOAN | RBL BANK LOAN KAISE LE SAKTE HAI?

SBI LIFE company dwara di jane vali other important online suvidhaaye:

  1. Online Premium Calculator
  2. Need Analysis Calculator
  3. Retirement Calculator
  4. Child education Planner
  5. Tax calculator
  6. Check NAV online

Also Read -: SBI STUDENT LOAN SCHEME APPLY ONLINE | REVIEW |

SBI LIFE INSURANCE MEIN AAPKO KYA KYA FEATURES MILTI HAI 

SBI LIFE INSURANCE MEIN AAPKO KYA KYA FEATURES MILTI HAI

SBI LIFE INSURANCE mein aapko kyi prakar ki suvidhaaye milti hai jo ki iss prakar hai.

  1. Aaavedak apne anusaar koi bhi bima policy ko chunn sakta hai
  2. Kisi bhi insurance policy ko active karne ke liye online apply Kiya jaa sakta hai.
  3. Bank turant apni bima policy ko active karne ki suvidha deta hai.
  4. Kisi bhi type ki problem ke liye aap najdiki bank branch mein jaakar problem solve kar sakte hai .
  5. Kisi type ki problem aa jane par jaise ki viklangta , aanshik death ya phir other problems aa jane par
  6. Turant insurance ko claim kar sakte hai .
  7. Kisi bhi type ki SBI Life Insurance se judne ke liye Bank se sevao ke bare mein information prapat kar sakte hai .

Also Read -: Avail Finance: Credit Loan App Se Loan Kaise Le | Interest Rate |

SBI LIFE INSURANCE KRANA KYI ZARURI HAI ?

Nimanlikhit kaarno ke kaaran krana important hai:

  • Bacho ki padhai ke liye Insurance krva sakte hai .
  • Retirement ko surakshit karne ke liye bhi life Insurance kiya jaa sakta hai
  • Financially Freedom ke liye bhi SBI biam policy ka istemaal kiya jaa sakta hai .
  • Family protection ke liye  iska use kiya ja sakta hai.
  • Paiso ko bachane ke liye bhi Insurance policy le sakte hai

SBI LIFE INSURANCE CUSTOMER CARE NUMBER.

agr aapko kisi prakar ki problem aati hai toh aap SBI Bank ke customer adhikaari se baat karke apni problem ka hal paa sakte hai , uske alawa official website par live chat ke madhyam se bhi aap smadhaan paa sakte hai , iske alawa aap s.m.s ke madhyam se bhi apni complaint registered krva sakte hai .

 

CALL US TOLL-FREE AT

1800267 9090 (AVAILABLE FROM 9:00am to 9:00 pm every day)

E-mail

Info@sbi.life.co.in

SMS: 56161 or 9250001848

Also Read -: SBI NEW CAR LOAN APPLY ONLINE | INTEREST RATE |

Disclaimer: yahan par yeh jaankari kewal education purpose ke liye btaye gayi hai , SBI LIFE INSURANCE ke bare mein information SBI Bank ko madhya najar rakhte hue di gyi hai . Hunlm yahan par aapko kisi bhi prakar ki bina policy ke liye zor nhi dete hai , yeh aapki khud ki sehmati hai ,adhik information ke liye state Bank of India ki official website ko visit kar sakte hai.

About bankofloan

Check Also

Axis Bank Two Wheeler Loan कैसे लें? Axis Bank Two Wheeler Loan इंटरेस्ट रेट 2024

Axis Bank Two Wheeler Loan कैसे लें? Axis Bank Two Wheeler Loan इंटरेस्ट रेट 2024

Axis Bank Two Wheeler Loan भारत में दोपहिया वाहन परिवहन का एक प्रमुख साधन है। …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *