RBL BANK LOAN | RBL BANK LOAN KAISE LE SAKTE HAI?

RBL BANK LOAN

Dosto aaj iss time mein humari iss zindagi mein Paisa bahut hi zyda zaruri hai kyunki Aaj ke iss time mein bina paise ke kuch bhi nhi hota hai chahe aapko voh khane ka saaman Lena ho ,bacho ki school ki ya college ki fees deni ho , new kapde khareedne ho ya ghr ka rent dena ho aur bhi aise hi chote mote kamo ke liye humein paiso ki zarurat toh padhti rehti hai .Dosto aaj ke time mein jis tarah se mehangaayi badh rhi hai uss tarah se aaap log chahe kitna bhi kma lo kaam nhi chalne vala hai aur kyi baar toh dosto humare sath aisa hota hai ki humare paas paise hote hi nhi aur aise mein humein kuch bhi samjh nhi aa rha hota ki bina paise ke kaise kaam chlega kyuki paise ke sath hi sabh kuch chal rha hai aur dosti aise mein aapke mann mein aata hai kyu na mere kisi dost se kuch Paisa tohre time ke liye udhaar liye jaaye aur ab aap chle jaate ho apne kisi dost ke pass aur use apne problem k baare mein btate ho aur use kehte ho ki Bhai mere ko abhi kuch paiso ki zarurat hai toh kya aap mere ko de sakte ho mein aapko baad mein lota dunga itna sunte hi aapka dost aapko paise dene ke liye mna kr deta hai kyunki vo aapko bolta hai ki Bhai mere pass bhi paise nhi hai agr mere pass hote toh mein apko zarur de deta itna sunkar aap vahan se vaapis aa jate ho .dosto iske baad aapko kuch bhi samjh mein nhi ata ki ab kre toh kya kre lekin dosto ab aapko pareshaan hone ki koi zarurat nhi kyunki Aaj ki iss post mein aap sabhi ko btane vala hoon ki online loan ke bare mein jisse aapki paiso ki problem hmesha hmesha ke liye kahtam ho jayegi . online loan Lena bda hi aasan hai aur aaj mein aapko jis bank ke bare mein btane vala hoon uska naam hai RBL BANK aur aaj ki iss post mein aap sabhi janne vale ho ki RBL BANK se loan lene ke liye apply kaise kre , RBL BANK se loan lene ke liye kon kon se documents ki need hogi, RBL BANK se loan lene ke liye kya criteria hai , RBL BANK se loan lene par aapko kitna % Bayaz lgega , RBL BANK se loan Lena ke baad vaapis lotane ke liye kitna tym milega , RBL BANK se loan lene ke liye kaise apply kar sakte hai .yeh sab kuch aap aaj iss post ke through jaanne vale ho ,toh chliye jaan lete hai .

RBL BANK SE KITNE RUPAYE TAK KA LOAN MILEGA?

RBL BANK SE KITNE RUPAYE TAK KA LOAN MILEGA?

dosto agar aap aaj ke iss tym mein kisi bhi bank ya loan company se loan ke liye apply kar rhe hai toh aapko yeh zarur pta kar lena chahiye ki jo aap loan le rhe hai voh aapko kitne rupaye tak ka mil rha hai kyunki dosto kyi baar hum loan ki jaldi mein yeh bhool hi jaate hai aur baad mein humein jab humein kam paiso ka loan milta hai toh phir kisi aur company se loan ke liye apply karna padta hai .dosto agr yahan par mein bat kru RBL BANK ki toh aap yahan se kam se kam 1 lakh rupees aur zyda se zyda 20 lakh rupees Tak ka loan le sakte hai.

RBL BANK LOAN PAR KITNE % KA BAYAZ LAGTA HAI?

RBL BANK LOAN PAR KITNE % KA BAYAZ LAGTA HAI?

 Dosto aagr aap iss time mein kisi bhi loan company ya Bank se loan ke lyi apply kar rhe ho toh aapko ek baat ka zarur dhyaan rakhna chahiye jo hai Bayaz kyunki dosto aap khin se bhi loan le rhe ho toh uss loan par aapko kitne % ka Bayaj Dena padhega kyuki dosto agr aapko zyda Bayaj lga toh kya pta aap time pr Bayaj na chuka pao .dosto yahan par mein baat kru RBL BANK ki toh ismein aapko Kam se kam 14% aur zyda se zyda 23% ka Bayaj har saal loan amount par dena padega.

Must Read -: SBI NEW CAR LOAN APPLY ONLINE | INTEREST RATE |

Tenure Rate

dosto agr aap kisi bhi bank ya loan application se loan ke liye apply kar rhe hai toh aapko ek baat ka zarur dhyaan rakhna chahiye ki aap jo bhi loan le rhe ho uss loan ko vaapis karne ka jo time hai aapko kitna mil rha hai aur bad mein aapko pareshani ho jati hai loan ko vaapis karne mein dosto agr yahan baat kru mein RBL BANK ki toh ismein aapko Kam se kam 1 saal aur zyda se zyda 5 saal tak ka time milta hai loan ko vaapis chukane k liye.

BENEFITS 

  1. yeh aapko zyda amount ka loan deta hai.
  2. Aapko yahan par kaafi Kam Bayaj par loan mil jata hai.
  3. Yeh laon dete time kaafi Kam documents lete hai .
  4. Loan ko vaapis karne ke liye kafi acha time mil jata hai.
  5. Aap kbhi bhi khin se bhi loan ke liye apply kar sakte hai.

ELIGIBILITY

  1. Aap ek Indian hone chahiye
  2. Aapki age kam se kam 25 saal aur zyda se zyda 60 saal honi chahiye.
  3. Aap jahan par kaam kar rhe hai voh kam se kam ek saal purana hona chahiye aur kam se kam 3 saal ka aapke pass kaam krne ka experience hona chahiye.
  4. Aapke har mahine ki income kam se kam 20,000 rupees honi chahiye.

DOCUMENTS

  1. KYC( pan card, proof of identity and age proof – any one) (e.g. Aadhaar card, passport ,valid driving licence, voter ID card) 
  2. Proof of address – any one aadhar card, voter ID card, Valid driving licence, valid passport , utility bill)
  3. Salary slip – for loan < 7.5 lacs : latest 2 salery slip : for loan >7.5 lacs: latest 2 salery slips 

 

RBL BANK SE LOAN KAISE LE-( RBL BANK PERSONAL LOAN KAISE MILEGA)? 

RBL BANK SE LOAN KAISE LE 

  • ‌sabse pehle aapko RBL BANK ki website par jna ha
  • ‌Iske baad aapko isme loan vala option dekhna hai 
  • ‌iske baad aapko personal loan ko chhode krna hai 
  • ‌iske baad aapko apna mobile number daalkar ismein register kar lena hai
  • ‌iske baad aapk isme apni basic information fill krni hai 
  • ‌iske baad apko apni job ki information fill karni hai 
  • ‌iske baad aapko ismein apne documents upload krne hai 
  • ‌iske baad aapki loan application review mein chali jayegi 
  • ‌iske baad aapko Bank ki taraf se ek call ayegi 
  • ‌iske baad apka loan approve ho jayega 
  • iske baad aap iss loan ka use easily kar sakte hai

 

Dosto aaj ki iss post mein aap sabhi ne jana ki RBL BANK se loan lene ke liye kaise apply kre ,RBL BANK se loan lene ke liye kon kon se documents ki need hogi, RBL BANK se personal loan kaise le ,RBL BANK se loan kaise milega, RBL BANK se loan kitne time ke liye milega, RBL BANK se loan par aapko kitne % ka Bayaj dar lagta hai aur jo loan milta hai uske lotane ke liye kitna time milta hai , RBL BANK se loan lene ke liye apply kaise kr sakte hai yeh sab kuch aaj aapne iss post ke through Jana hai aur agr aapke man mein koi bhi svaal reh gya ho aap humein neeche comment karke puchh sakte hai doato aapko humare dvara di gyi information achi lagi hai toh aap humari iss post ko share kar sakte hai. Doato aapne apne kimti time mein se time nikal kar iss post ko padha aap sabhi ka dil se shukriya.

 

About bankofloan

Check Also

FlexPay Loan App से लोन कैसे ले ? FlexPay Loan App Review 2024 | Apply |

FlexPay Loan App दोस्तों क्या आपको एकदम से बहुत सारे पैसो की अचानक से जरूरत …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *